About

How to get motivated during WORK

Work motivations
Jab aap kaam par ho yaa phir life se related kuch work karte hai to kya aap kabhi bhi gadhee par ghoorte huye dekhte hai,jitne jaldi ho sake aapka kam khatam ho sake aur aap baahar ja sake?
Yah thik hai agar aapka uttar haan hai. Hmare lagbhag sabhee din aise hote hai jisme  hum office yaa school se baahar nikalane ke liye intzaar nahi kar sakte- lekin yadi aap aisa roj anubhav karte hai to isse pata chalta hai ki aap UNMOTIVATED hai.
Ham me bahut sare aise log bhi hai jo ki apne pasand ka work nahi kar pate .

Mai yaha par kuch 5 tips suggest kar raha jisse aapko motivation mil sakti hai aapke work me.


1 - JO WORK AAPKO PASAND HO USI ME MAN LAGAYE

Work motivations

Agar koi insaan apni iccha ke anusar work choose nahi karta to wo insaan hamesha problem me rahega kyunki agar aapko us kam(work) me ruchi hi nhi rahegi to aapka kam ache se hoga hi nahi aur hmesha bhatakte rhenge.Koi bhi karne se pehle ye dekh le aapko usme ruchi hai yaa nahi.

2- APNE WORK KO CHOTE -CHOTE TUDKO ME BAAT LE

Work motivations

Jab bhi aap apna karya suru kare to aap apne karya ko chote chote tudko me baat le. Matlab ki aisa karne se aapko apna karya aasan lgega ar aapki ruchi bani rahegi aapke upar jada dabaw nahi rahega.Isse aap apna karya sahi samay par pura kar payenge.

3-   AAPKO YE PATA HONA CHAHIYE KI AAP YE WORK KYU KAR RAHE HAI


Agar aapko ye nahi pata ki aap ye karya kyu kar rahe to isse bhi aapko motivation nahi milega.Kyunki aap jo karya kar rahe hai uske bare me aapko pata hona chahiye ki isse aapke future me kya fayada hoga . Ye bahut jaroori hota   aapko aage badhne me help karta hai.

4- HAMESHA  SAKARTMAK AUR FOCUSED RAHE

Work motivations

Ye bahut jaroori hota hai work karte samay hamesha aapko us karya se bahatak nahi jana hai aur apne aapko majboot banaye  rakhna .Aaapke andar sakaratmak(positive) chize hona bahut jaroori hai jisse aapko hamesha aage aur man  lagakar karya karne ki prerana deta hai.

5- APNA EK NIRDHARIT LAKSHAY BANAYE AUR APNI JEET KI KHUSHI MANAYE

Work motivations

Aap jo karya kar rahe uska ek lakshya hona chahiye ye sabse jaroori hota hai aur waha par pahuchane ke baad aap us lakshya ki prapti ko celebrate karni chahiye .Isse aapko aur bhi jada khushi aur aage badhne ki prenana milegi.


Agar aap apne work ko enjoy karna chahte hai to upar mere bataye huye steps se aap koshish kar sakte isse jaroor aapko bahut laabh milega.


THANK YOU 


For more Info: https://steps2motivations.blogspot.in/
Mail Me : businesswithmanishverma@gmail.com
Contact me:7003599472

2 comments :

© 2019 steps2motivations.blogspot.com. All rights reserved.