About

How to be an Entrepreneur

Koi bhi person koi business suru karne yaa phir us business ko bdhane ki koshish karta hai jokhim uthakar ki use aage chalkar es business se fayada hoga waise logo ko ham entrepreneur kehte hai. Aajkal jadatar log entrepreneur hi banna chahte hai kyunki isme aap khud hi boss hote ho sab decision aapko hi lena hota hai,kisi bahari ka dabaw nahi hota hai.

Agr aap apni life entrepreneur ban na chahte hai to mai kuch tips likh jo ki ek entrepreneur karta hai.


1- PERSONAL GOAL SET KARE

                     
Ek entrepreneur pehle se hi wo apna ek khud ka lakshya nirdharit rakhta hai ki mujhe waha tak pahuchna hai.Ek entrepreneur bina kisi personal goal ke aage badh nahi payega.

2- JUNOON(PASSION)


Ek entrepreneur ke andar uske business yaa vyapaar ke liye junooni hona bahut jaroori.Wahi junoon aage chalkar use majbooti dega , aur agar junoon nahi raha to ho skta hai ki wo apne goal tak pahuch hi na paye . Business ke prati junooni hota bahut jaroori hai kyunki ek entrepreneur bahut sare jokhim uthata life me tab jakar wo successful banta bina junoon ke ye sambhav nahi hai.

3- VYAKTIGAT VIKAS AUR UPLABDHI


Ek entrepreneur aage badhte huye ye bhi dekhta hai uska vyaktigat vikas(personal growth) kitna hua hai yaa ho rha hai .Kyunki entrepreneur ko hamesha kuch n kuch naya sikhte rehna hota hai jisse uski growth ho sake.Ek entrepreneur ye bhi dekhta hai ki usne kya kya uplabdhi payi hai itno dino apne business ke liye.

4- DHEERAJ(PATIENCE)


Ek entrepreneur ke andar patience bahut jaroori hota hai kyunki entrepreneur risk lekar aage badhta hai to bahut baar aisa hota hai use laabh ki jagah haani milti hai to aise samay me dheeraj(patience) nahi khona chahiye aur apne business ko aage badhate rehna chahiye.

5- BHAVNAO KO NIYANTRIT RAKHNA(SENSE OF CONTROL)


Hum hamesha bahut sari chizo ke liye apne aap par control nahi rakh pate uske karan hame bahut problems ka samna karna padta hai lekin ek entrepreneur apni bhavanao ko control karke rakhta hai aisa karne se wo sahi faisla leta hai , aur bina soche samjhe wo jaldbaji me koi bhi kaam nahi karta hai.Uska dhyan negative chizo ki taraf nahi jata hai.

Agar aapko bhi entrepreneur ban na hai to mere diye huye aapke liye faydemand ho sakte hai .
Entrepreneur ban na aasan nahi hai lekin bahut kathin bhi nahi kuch tips upar diye hai aapko usse thodi strength milegi aage badhne me.


THANK YOU



For more Info: https://steps2motivations.blogspot.in/
Mail Me : businesswithmanishverma@gmail.com
Contact me:7003599472


Post a Comment

© 2019 steps2motivations.blogspot.com. All rights reserved.